No like delay between posts

Re: No like delay between posts

yeh tau wohi baat huee kaY aik khan saahab aur shaair kaY darmiyaan behs chiR gayee kaY kaun achaa shaair hai… khan saahab nay kahaa: Vo khocha tum apni shaairi sunaao. Vo a’mm dekhta aye tum kitni baRi shaair hai khanaa kharaabaa

shaair naY sher paRha:

Laalaa paThaan
teray lambaY lambaY kaan
opper makaan aur
neechaY dukaan

khan saahab naY deedaY nachaataY huaY sher jawaab diyaa:

Vo khocha ik darakhat kaa tanaa
aur woh tanaa lay kar tumhaara sar par maar diyaa

shaair naY kahaa : Khan saahab.. yeh koi sher hai.. aik misra’ itna choTa aur doosraY kee zameen itni lambi kay baraabar waalaY sher par naa jaaiz qabzaa kar rahi hai… naa wazan hai, naa qaafiyaa.. :hoonh:

Khan saahab naY kahaa: Khocha! woh sub choRo… yeh bataao hamaaraY sher naY tumaaraa sar tau phaaR diyaa naa :5: