Re: na jane kitne sitaron ne raat dam tor diya
nice, thx for sharing
yey haseen shaam upni
abhi jis main ghul ruhi hay
teray pairahun ki khushbu
abhi jis main khil ruhi hay
meray khuwaab kay shugoofay
zara dair ka hay munzur
zara dair main uffuq pay
khillay ga koi sitaara
teri simt dekh kur woh
kuraiga koi ishaara
teray dil ko aaega phir
kissi aur ka bulaawaa
koi qissa-e-judaai
koi kaar-r-naamukummul
koi khuaab-e-naashugufta
koi baat kehnay waali
kissi aur aadmi say
humain chaaiay tha milna
kissi ehd-e-mehurbaan main
kissi khuaab kay yuqeen main
kissi aur aasman main
kissi aur surzumeen main