Shweetdreams sahiba,
Apka shukria ke aap ne tirchi our mubham tasaweer shayaa kee. Jin ko dekhney ke leye hum sab ko apni garndanain 180 darjey ke zaweye per muta’did martaba ghumana pari. Is amal se hamari gardan ke tanaou main kuch kami waqiya hoi our ek faida mand warzish ka mouqa mila 
Allah aapko jaza de our aapkey kaam waley kaproon mian chand taroon our phool botoon ka izafa karey 