Re: وفا کے سار ے نصاب اسکے... MY OWN
salaam S.786 saaHib,
**subHaan Allah, mashaa Allah, marHabaa! aapkaa she'r mashaa Allah bahoot zabardast hai...har ai'tabaar se murass'a aur jaam'e...ustaadaanah rang liye huye. alfaaz kii bandish aur bayaan kii chustii qaabil-e-sad hazaar daad o taHseen hai. merii jaanib se is 'aalaa she'r goyii par daad-e-dili pesh e Khidmat hai.
Allah kare zor e qalam aur ziyaada. aapke mazeed kalaam kaa shiddat se intizaar rahegaa...aap poorii Ghazal chaspaaN kijiye na...shukria :)**