Munni Begum

it was working untill last night :snooty: … did you read the Announcement… it says do NOT upload… so prolly they took it off :halo:

u sure it was working? I seriously doubt it :smokin:

20384.Munni Begum - Ek Baar Muskurado

:smokin:

this one’s for tikhi the kid, the spokesperson for the unrefined lot :smokin:

20384.Munni Begum - Main Nazar Se Pee

i love the way munni begum sings ‘tere shehr ka mausam bara suhana lage.. mein ek shaam churaloon agar bura na lage’

here the link to the ghazal :slight_smile:

tumhare shehr ka mausam

Firdos jhoom uthay
Fiza muskura uthay
Tum ek baar muskura utho tau
Khuda muskura uthay

Ek baar muskura do
Ek baar muskura do

Afsana-e-chaman ka unwaan hi badal do
Phooloan ka sir kuchal do
Kaliyoan ka dil masal do
Akaash ki jawani
Baadal mein munh chupaey
Mahtaab doob jaey
Taaroan ko neend aaye
Zohra jabeeN pari rooN
Tamseel-e-Mah-o-Anjum
Aankhain sharaab aagheen
Jazbaat mein talatum
Hiltay huay laboan per
Hansta hua tarana
Aay dil nawaz paikar
Khatir mein hai zamana
Lab haey ahmareen per
Nikhri hui hai laali
Yeh halki halki surkhi
Tasweer hai shafaq ki
Aawara shokh zulfain
Rukhsaar choomti hain
Rukhsaar choomti hain
Bey-khud hain ghoomti hain
Ho zeest ka sahara
Tum mauj mein kinara
Laiken suno Khudara
Ek baar muskura do
Ek baar muskura do julmi smiles
Ek baar muskura do

Ek nau-jawaan musafir
Fitrat ka la-ubaali
Ek alam-e-junooN mein
Ek samt ja raha tha
Jesay kay apni dhun mein
Parbat pey charh raha tha
Zulfain kay muntashir theen
Chehray sey muzmahil tha
Nazrain kay raah pey theen
Kitna shikast-e-dil tha
Maazi ki dhundlakoan mein
Ek aks pa raha tha
Guzra hua zamana
Phir yaad aa raha tha
Armaan tarap rahe thay
Hasrat machal rahi thi
Beytaab zindagaani
Karwat badal rahi thi...
Gin gin taaray haey becharay
Gin gin taaray haey becharay
Chain na aaye
Jee ghabraey
Dekh tau kya hai, kaun basaa hai
Deeda-e-ter mein
Neechi nazar mein
Sheesha-e-dil mein
Aankh kay til mein
Dil ko jalana, khail hai jaana
Dil ko jalaa ker, aag laga ker
Khud bhi jalo gey, haath malo gey..
Tum shama-e-farozaan ho
Khud bhi jalo jalaa do laiken
Ek baar muskura do
Ek baar muskura do

Tum jaan-e-mud'dua ho
Ek husn dilruba ho
Itna to mai kahoonga
Meri hi iss ghazal ka
Rangeen qafiya ho
Ek baat tum sey poochoon
Bolo jawab do gey
Yeh husn yeh jawaani
Sarkaar kya kero gey
Hontoan ki muskurahat
Baicho khareed loonga
Manzoor ho to bolo
Anmol daam doonga laiken!
Ek baar muskura do
Ek baar mukura do

phew

smiles gracefully

who pees with their nazar :hoonh: