**salaam Rajey saab,
aapne jo kalaam pesh kiyaa vo achchhaa hai magar jaise aapne likhaa hai vo saHeeH nahiiN hai kiuN k yeh Ghazal hai jis meN har she'r meN do lines hotii haiN 4 nahiiN to ise yuN likhe. thank you
Allah Haafiz _______Hashmat** ** Mujhko pata tha ek din, Mujhse juda ho jayega, Wo panchhhi tha pardes ka, Kabhi laut ke na aayega.
Har din terey aagosh me, Shaam o shab mere madhosh the'y Maloom tha mausam kabhi, wo laut ke na aayega.
Muzhko pata tha har ghadi, Tera saath tha aadat buri, Muzhko pata tha ek din, Too ajnabi ho jayega.
Ab teri baaten karta hai, Muzhse jamaaana taane de' Main ranjeeda hu'n sochkar Too kabhi nahi mil payega
Marte the'y jis par tootkar, Wo Chhhootkar phir na mila, Dil hai be-bas ye bechara. Kis se kya kah payega?**
<!--Session data-->
Aapne humaari lines ka itna khayaal rakhkha, gazal naam diya... bahut bahut shukriya.