*
Na sama’aton main tapish ghulay, na nazar ko waqf-e-aazab kar
Jo sunaai de usey chup sikha,j o dikhai de usey khwab kar
Abhi muntashir na ho ajnabi na wisaal rut ka karam jata
Jo teri talash main gum hoye kabhi un dino ka hisaab kar
Mere sabr pe koi ajar kyoun, meri dehleez pe ye abar kyoun
Mujhe aurhne de aziyaten,meri aadaten na kharab kar
Kahin aablon k bhanwar main khoyen,dhoop badan main sajaien
Kabhi dil ko thall ka mizaaj de,kabhi chasm-e-ter ko chanab kar
Ye hajoom-e-sheher-e-sitam garan na sune ga teri sada kabhi
Meri hasraton ko sukhan suna, meri khawaishon se khitaab kar
Ye jaloos-e-fasl-e-bahar hai tehi dast,yaar saja isay
Koi ashak phir se sharar bana,koi zakham phir se gulaab kar