Suno!
Main thak gaya hoon Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain Meri neendoon main tairay wasl ka raisham ulajhta hai Mairay ansoo mairay chehray pe tairay ghamm ko likhtay hain Mairay ander kai sadiyun kay sannatoon ka daira hai Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain Mager main thakk gaya hoon Aur main ne khamashi ki goad main sir rakh dia hai
Main baloon main Tumharay hijr kee narm ungliyan mehsoos kerta hoon Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh kee soorat Tumharay wasl ka raisham bhee ab neendain nahin bunta Mairi aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basaira hai Mujhay ander kay sannatoon main gehri neend aai hai Suno! Iss yaad se keh do Mujhay kuch dair sonay day
Beautiful :-)