**** ___________________****
Jala K Tou Bhi Agar Aasra Na Day Mujh Ko Yeh Khauf Hay K Hawa Phir Bujha Na Day Mujh Ko
Main Is Khayal Say Murr murr k Daikhta Hoon Ussay Bicharr K Woh Bhi kahee'n Phir Sada Na Day Mujh Ko
Bas Is Khayal Say Shab Bhar Main So Nahi Sakta K Khauf e Khwab e Guzishta Jagaa Na Day Mujh Ko
Tayray BaghairTayree Tarah Main Rahoo'n Zinda Yeh Hausla Bhi Dua Kar Khuda Na Day Mujh Ko
Main Is Li'ay Bhi Usay Khud Manao'n Ga 'Hasan' Keh Mujh Say Roothney Wala Bhula Na Dey Mujh Ko
-------------------------------------
===========
bohat khoob ji