Muhhabbat Lafz Tha Mera! Magar os Ny Suna Roti..

Re: Muhhabbat Lafz Tha Mera! Magar os Ny Suna Roti..

Here you go… :slight_smile:

Main iss shehar-e-kharabi main faqeeron ki tarha dar dar phira barson
ussay galion main sarkon per
gharon ki sard dewaron kay peechay dhondta, tanha
keh woh mill jaey tu tuhfa ussay dun apni chahat ka

tammana meri barr aai keh ikk din aik darwaza khulla or
main nay dekha woh shanas chand sa chehra
jo shadabi main gulshab tha!
main ikk shayan-e-gaddayana liay uss ki taraf lapka
tu uss nay chashm-e-bay parwa kay halkay say isharay say mujhay roka
or apni zulf ko mathay pay lehratay hooway poocha
"kaho ay ajnabi saa’il
gadda-e-bay sarro saamaan
tumhain kia chahiay hum say?
main kehna chahta tha…"umer guzri jiss ki chahat main
woh hi jab mill gaya tu or abb
kia chahiay muj ko!"
magar taqreer ki qoowat na thi muj main
faqat ikk lafz nikla thalabbon say kanpta, darta
jissay omeed kam thi uss kay dil main bar panay ki
“mohabbat” lafz tha mera
magar uss nay sunna"rotti"