Re: Muhabbat jhoot lagti hai mujhey
Mohabbat say, Inayat say, wafa say chot lagti hai
Bikherta phool houn mujh ko hawa say chot lagti hai
Main shabnum ki zuban say phool ki aawaz sunta houn
Ajab ahsaas hai apni sada say chot lagti hai
Tujhe khud apni majburi ka andaza naheen shayad
Na ker ahed-e-wafa, ahed-e-wafa say chot lagti hai
Meri aankhon main aansoo ki tarha ek baar aa jao
Takaluf say, Banawat say, aada say chot lagti hai
agar app ko dil se pyaar ho kisi se toh zaroor kaho sirf ek bar hi sehi kaho zaroor us k baad i think k bar bar kehna mohabbat ko mazak banah deyta hai.
anyways mohabbat jhooti nahi hoti.
Nice Poem TS.