**Sitaray jo damaktay hain
kisi ki chashm e hairaan main
mulaqatain jo hoti hain
jamal e abr o baraan main
ye na abaad waqtoan main
dil e nashaad mai ho gi
muhabbat abb nahi ho gi
ye kuch din baad main ho gi
guzar jaen gay jab ye din
ye un ki yaad main ho gi
**