Main talkhi-e hayaat se ghabra k pee gaya,
Gham ki siyaah raat se ghabra k pee gaya.
Chhalke huye the jaam,pareshaan thee zulf-e yaar,
Kuch aise haadsaat se ghabra k pee gaya.
Main aadmi hoon koi farishta nahin huzoor,
Main aaj apni zaat se ghabra k pee gaya.
Duniyaa-e haadsaat hai ik dard-naak geet,
Duniya-e haadsaat se ghabra k pee gaya.
Kaante to …