Khud pahelwaan chauraahe pe aa jaauuN…vo jo nokkaR pe paan waali duukaan hai us par main beeRii pee rahaa huNgaa aur maiN ne laal rang kii jaalidaar banyaan, harii luuNgii, neelaa rumaal gale meN Daale huye huNgaa…aasaanii se pahchaan lengii! Theek hai?
hmmm…yeh to sochaa hii nahiiN thaa chaleN, koii baat nahiiN…Husn to sar chaRh ke boltaa hai…maiN sar pe ek kawwaa biThaa luuNgaa jo kaayeN kaayeN karegaa! ulloo nahiiN biThaa saktaa kiuN k dekhne waale to saare ke saare hii ulloo hoNge