Mohabbat kya hai ?

Re: Mohabbat kya hai ?

MOHABBAT OSS KI SURAT

** pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hay
gulon ki aastinoon main anokhay rang bharti hay
sahar k jhatpatay main gungunati muskurati hay
mohabbat k dino main dashat bhi mehsoos hota hay
kisi firdos ki surat…mohabbat oss ki surat

MOHABBAT ABAR KI SURAT
dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hay
chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hay
azal ki bai namoon matti main sabza sar uthata hay
jo dil hian qabar ki surat…mohabbat abar ki surat

MOHABBAT AAG KI SURAT
bhujay sino’n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharakti hy ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay
mohabbat jhaag ki surat…

MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaan say jagmagatay hain
k pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
tu kab ki muntizar aankhon main…shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat

MOHABBAT DARD KI SURAT
guzishta mosamon ka ist’aaraah ban k rehti hay
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay
mandairon par charaghon ki lo’yen jab thartharati hain
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koe aahat koe saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koe bhi dhoka nahi rehta
ghamon k bojh say jab toutnay lagtay han shaanay tu
yeh oun pay haath rakhti hay
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak…yeh gard ki surat
**
** mohabbat dard ki surat**

Re: Mohabbat kya hai ?

Ana parasti aik hud tuk achi hoti hai…zarorat se zyadah ana parasti phir takabbur ke roop mai aane lagti hai…

Whts koozay?:bummer:

STA ghar jaa k ill watch tht video
Ninja :smilestar: just my observation not thesis

Re: Mohabbat kya hai ?

Asal muhawra hai ‘Darya ko koozay main bund karna’.. Kooza ek chota sa bartan hota hai… jab koi boht gehri baat chand lines main kehta hai tab kehte hain ke ‘aap ne darya ko koozay main bund karlia’. In today’s technology, you zipped 1 GB file into 1 MB :hehe:

Re: Mohabbat kya hai ?

:hinna: Ye to Amjad Islam Amjad ki muhabbat ho gai… STA whats your concept of Muhabbat?

Re: Mohabbat kya hai ?

Allahy aur uskay Raslool(saw) say hi mohabbat hosakti hia. uskay bad baqi manda mohbaat degar logon say hosakti hia.

mohabbat ya to hoti hia ya nahi hoti hia.

Re: Mohabbat kya hai ?

:bummer: kya timing hai aapke exanple ki…I was trying to compress 5 gb into 32 mb & failed:teary2:

Agree with this line.
There is no middle route.

Re: Mohabbat kya hai ?

:smilestar: kozay ko darya mai dibo diya u mean :emmy:

Muqawwe ko maar khane ka dil kr raha hai :asa:

Re: Mohabbat kya hai ?

May be he want to say choozay ko daria me doobo diya............:D

Re: Mohabbat kya hai ?

Ye kia baat hui bijli hoti hai ye nahin hoti..

Re: Mohabbat kya hai ?

:emmy: isse kehte hain neki kar darya main daal.. main aapki tareef kar raha tha aur aap … :naraz:

Re: Mohabbat kya hai ?

bijli aaye ya na aye bijli bijli hoti hai. :snooty:

Re: Mohabbat kya hai ?

Aisi hi kisi degree ke sahare aap US to nahi pohonch gaye…:omg:

Re: Mohabbat kya hai ?

^ :rotfl:

Re: Mohabbat kya hai ?

Kaisi tareef :emmy:

:rotfl:

Re: Mohabbat kya hai ?

kar lo ,pata chal jae ja LP:rolleyes:

Re: Mohabbat kya hai ?

Mujhe subka nazariya pata krna hai:smack:

Re: Mohabbat kya hai ?

oo acha
mohabbat JHULA hi
zada le lo to halat kharab ho jate hi

Re: Mohabbat kya hai ?

yeh kis mohabbat ki baat ker rahi hain aap…:sid:

Re: Mohabbat kya hai ?

han orr kia

Re: Mohabbat kya hai ?

:emmy:

Muhabbat aisa naghma hai
Zara bhi jhol ho lei main
To sur qaim nahin hota