Miscellaneous Poetry

Screenshot_20190211-225602.jpg


Restored attachments:

Be niyazi se be wafaei tk
Koi tuhmat tou us k serr aey

Muhabbaton mein hawas k aseer hum bhi nae
Ghalat na jaan keh itne haqeer hum bhi nae!!

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

:lajawab:

Poocha joh unn say chand nikalta hai kis tarah
zulfon koh rukh pey daal ker jhatka diya kay yun

Ishq ho aur sukon bhi ho
Suno janab, hosh mai tou ho :hehe:

Tmhara dil mere dil k baraber ho nahi sakta
Wo sheesha ho nahi sakta ye pathar ho nahi sakta

Usey kehna ab dil thaam k rakhey
Ab raah takney ki baari uski hai

Tere shehar k tamam aala zarf log
Waqt pra tou brey kum zarf nikley

ham apnay aap ko
pathar ana kay khuf say
jitna bazahir pursukoon rehnay ke adat dhal lein
par hijar ke baichain yakh basta hawa say
rakh mien dhalti tamanien b
akhir kapkapti hain
sadaien larhkharhati hien
tumhien malooom to ho ga
kay kachi umer ke chahat
hazaroon saal b dil kay kesi gehray sumandar mein
rahay paband
par
phir b kabi marti nahi
mein nay bohat arsa tumhiein
yadoon, khaiyaloon ayr khawaboon ke nigahoon say kiya ujal
maga jana
mein apnay aap say ab larhtay larhtay thak gia hoon
ayr
akailay pan kay viran saihar mein
jab sham dhalti hay
to muday say thaki hari wafaien
soog mien dhobay howay kuch geet gati hien
tumhien wapis bulati hein

mat giraoo khud ko itna kay nazar mila na sakooo
laga doo saray ilzam muj par kay mein zinda hoon abi

**Ajeeb larka hoon khud ko jalana **chahtaa hoon

**Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtaa hoon **

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko

**Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtaa hoon **

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe

**Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtaa hoon **

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuka hoon bahut

]Simat k zaat mai ab muskurana chahtaa hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai

Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtaaa hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne

Baqi saaray sitam bhool jana chahtaa hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager

Mai eik larka hoon sab ko batana chahtaa hoon

**Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan **

To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahtaa hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se

Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtaa hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day

Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtaa hoon

Wahh…beautiful IS bhai :lajawab:

ye b 2005 ki post say copy kiya hay :@:

Gheron ko bhala samjhey, aur hum ko bura jana
Samjhey bhi tou kia samjhey, jana bhi tou kia jana!