Miscellaneous Poetry

Re: Miscellaneous Poetry

A verse from a timeless classic ghazal by Qateel Shifai, sung by Mehdi Hassan:

Tujh ko choo loon tou ay jan e tamanna, mujh ko
Dair tak apnay badan sey teri khusboo aaye

Re: Miscellaneous Poetry

**
TU YUNHI SADA MUSKURATI RAHAY**

Tum jo meray paas nahein hotay
Waqt jaisay tham saa jaata hai
Zindagi jaisay theher see jati hai
Akailay saans bhi lena mujhko
Ab tou bewaifee see lagti hai
Tumharay bin yeh zindagi bhi jaisay
Gumnam ruswayee see lagti hai
Dil yeh chahta hai, meri jaan e mun
Ankh kholoon to nazara tumhara ho
Shab e furqat mein jo kabhi so loon to
Khwab mein bhi nazar bus tum aao
Dil mein basay ho meray kuch is tarah
Ragoon mein rachay ho meri kuch is tarah
Meray wujood ka atoot ang ban kar
Meri rooh ki ik parchayeen ho jaisay
Meray dil ki jaan, jism ka tukra ban kar
Jaane kaisay ji paon ga mein tum bin
Apnay jeewan ka aik bhi aur din
Mera pyar pukarta hai tumhein
Laut ao phir sey meri banhoon mein
Meri benoor ankhoon ka noor ban kar
Meray baichain dil ka saroor ban kar
Ab aur intezar nahein hota
Yeh judaai ka gham kaheen mujhko
Deewana, majnoon na bana dey
Yeh dard e firaaq mujhko
Kaheen awara, pagal na kar dey
Meray sabar ka aur imtihaan na lo
Chalay aao, mera yaar, mera pyar ban kay
Jab bhi tumhari yaad mujhko
Bohut shiddat sey satati hai
Wo puranay zakhm jo deay baar ha tum nay
Phir kuraid dalta hoon mein unhein
Mein nain bharney nahein deay ab tak
Har roz namak chirakta hoon kaye bar
Unhein hara bhara rakhnay kay liye
Wo tumhari yaad jo dilatay hein
Chup ho jaoon tou phir rulatay hein
Kuch dair kay liye hi sahee
Chalay aa na meray paas laut kar
Jab dil bhar jaye apni kaj adayeon sey
Jab thak jao apni bewafayeon sey
Namak chirakhnay hi aa jana
Mein zakhm hary kar rakhoon ga
Tumhari yaad jo dilatay hein
Shab o roz dil ko tarpatay hein
Ik bar laut kar zaroor aana
Kaheen yeh zakhm bhar na jaeen
Mein unhein kuraid kay rakhoon ga
Namak meray paas bhi hai laikin
Tum phir bhi sath laitay aana
Tumharay deay huay dard ka mazaa
Kaheen adhoora na reh jaye
Khuloos e zehr ki kami sey
Kumbakht zakhm kaheen bhar na jaye
Mein aik bar phir sey saih loon
Bewafaa sey dil laganay ki saza
Baar ha jo dil yeh mera toota hai
Meri khushion ka gala jo tum nay ghonta hai
Kaisay samaitoon akhir mein apnay
Ujray armaan, tooti arzooeen meri
Bikhri tamanayain, sisakti aahein meri
Dabi dabi sanson mein, ghuti ghuti siskion mein
Tumhe bar bar khonay ki aadat see ho gaye hai
Tumhein panay ki umang agar sar uthay
Mein seham sa jata hoon yeh soch kar
Meray muqaddar mein hi akhir jaanay kyon
Likh rakha hai bar bar oper walay nay
Tum sey bicharna, milna, phir mil kar bicharna
Jaane kub khatam hogi yeh dastan e karb
Nidhal sey ho gaye hain ab meray aasaab
Mera shikasta dil, rooh aur wujood bhi
Thak chuki hain ab meri tooti khwahishain,
Huay hauslay pust, raiza raiza khwab meray
Ab tou tumhe panay sey dar lagta hai
Pa kar khonay ki aadat jo ho gaye hai
Tumharay paas aa jaanay sey pehlay
Tumharay door jaanay sey dar lagta hai
Tum apni bewafaee sey wafa kartey rehna
Apni kaj adayeon sey jafa kartay rehna
Mujhay tou ab bhala sa lagnay laga hai,
Meray naseeb mein jo likha hai
Yunhi akailay, bar bar martay rehna
Tumharay yeh jaan lewa sitam
Meri kismet mein likh jo dalay hein
Poochon ga kabhi oper walay sey
Aur kitni bar mujhay marna hoga
Teray firaq ki aag mein akhir
Kab talaq yunhi jhulasna hoga
Khuda karay tu sada khush rahay
Mujhay angaroon pay yun lot ta dekh kar
Apnay pyar ki dehikti aag mein
Sisakta, sulagta, phighalta dekh kar
Tu yunhi sada muskurati rahay
Tu yunhi sada muskurati rahay

Guru

Re: Miscellaneous Poetry

Apologies, deleting duplicate posts.

Re: Miscellaneous Poetry

.

Re: Miscellaneous Poetry

:lajawab:

Re: Miscellaneous Poetry

Thanks.

Re: Miscellaneous Poetry

Aarzi muhabbat thi
Mustaqil nibhaei hai

Re: Miscellaneous Poetry

cholo aik kaaam kartay hian
aaj ki shaaam teray naam kartay hain
bhula kar apni zindgi k gham
phir say jinay ka elan kartay hain
kartay hian apna milan nirali shaan say
aur apni tanhaiyoon ka kaam tamam kartay hain
bar ka JHOLI khushiyon ki
zindgi ko teray naam kartay hain

Date:: Mar 18th, 2007

Imran

Re: Miscellaneous Poetry

Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likhne ko kiya baki hai
Ik dil tha su wo tuth giya
Ab lutne ko kiya baki hai

Ik shaks ko hum ne caha tha
Ik reet pe naqsh banaya tha
In reet ke zarun ko hum ne
Phir apne dil main sajaya tha
Wo reet tu kab ki bikhar gay
Wo naqsh kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai

Hum jin ko apni nazmoon ka
Unwan banaya karte the
Lafzun ka bana kar taj mehal
Kagaz par sajaya karte the
Wo hum ko akela choor gay
Sab rishtoon se mun murr gay
Ab rishte sare sune hain
Wo piyar kahan ab baki hai

Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai

Re: Miscellaneous Poetry

[RIGHT]**
مستقل مزاج ہو ، دِل لگا آئے رکھو
صبر سے کم لو حوصلہ بڑھا آئے رکھو
محبت کیا ، میری تو زندگی بھی عارضی تھی
موت کو قریب پا کر ، مجھے چھوڑ گئی تھی**[/RIGHT]

Re: Miscellaneous Poetry

:lajawab: ik dil tha so wo tut gaya

Re: Miscellaneous Poetry

Bari door sey dhoond kar laye ho sahib
Aisee be kia jaldi thee
Abhi tou saat din baqi hein
Pooray giara saal honay mein

Re: Miscellaneous Poetry

**
NA CHEIR MERAY DIL KAY TAAROON KO**

Na cheir meray dil kay taroon ko
Bohut boseeda sey ho chalay hain
Umar raseeda sey ho chalay hain
Teray choonay sey kaheen yeh toot na jaeen
Basee in mein jo un ki yadain hain
Wo yadain kaheen rooth hi na jaeen

Na cheir in pyar kay sazoon ko
Mera dard e dil yeh jagatay hain
Zakhm phir sey haray ho jaatay hain
Jab dheeray sey inhain koi choota hai
Yadain phir sey taaza ho jaati hain
Meri rooh to bohut tarpati hain

Na kuraid meray dil ka razoon ko
Seenay mein chupay rakha hai
Dil sey lagay rakha hai
Dunya pai kaheen afsha na ho jay
Tera raaz teri amanat hai
Jo dil mein dabaay rakha hai

Na tataul meray andar ki chingari ko
Dehak kar angara kaheen ho na jaye
Meri rooh ko yun rondtay rondtay
Meray wujood ko yun kuchaltay kuchaltay
Teray yeh haseen qadam
Kaheen abla pa no jaeen

Na dekh meri ashk bar ankhon ko
Teri soorat nazar aaye gi
Dil cheer kar gar dikha doon
Bus tu hi tu nazar aaye gi
Jo zubaan kholoon kabhi mein
Tera rag alapti reh jaye gi

Na samajh paya meray jazbaatoon ko
Jo meray dil mein sada rehta tha
Mein jis ki rahain takta tha
Chala gaya yun mujhey yeh keh kar ik roz
Tu jaanay kyon, kub sey, mujh pai marta tha
Pyar nahein, mein tu bus yunhi, zara dil lagi see karta tha

Guru

Re: Miscellaneous Poetry

Here is a poem in a little different dialect of Punjabi than the one most of us are used to listening. This is Potohari, which is spoken in parts of Potohar plateau primarily in district Chakwal. It can best be regarded as a mix of Saraiki, Hindko and of course, the traditional Punjabi. I consider it a purer form of the language since, unlike central and eastern Punjab, the penetration of Urdu words has somehow been quite limited and not overwhelming at all. People should not find it strange that Punjabi has so many different shades; in fact, even in England, they say, the spoken dialect of the English language changes every ten miles or so.

MEN CHOR KAY NA WANJ MAHIYA

Men chor kay na wanj mahiya
Dil tor kay na wanj mahiya
Mein hakalli ki karesan
Ji toon aan na hosein
Kainda rah takesan
Kainday naal gallan karesan

Jhab ghar mur aa mahiya
Baoon dhil na la mahiya
Jislay yad tainde men aundi ay
Dada tarpaundi ay
Nikka jaya kharaak jay howay
Mein bhajdi boay al waindeeaan

Dil mainda bainda wainda
Baoon ghabrainda wainda
Hika dar men laga raanda
Tu no ayon tay mein ki karesan
Kairay boay waisan
Kithay faryad karesan

Hun tay mainda dil karainda
Mein sawaan tay khabanch toon dethen
Mein uthan tey samnay toon howein
Jon jon deon laanda wainda
Dar mainda wad da wainda
Aj tay ghar mur aa mahiya

Is wari mur aa mahiya
Jo toon akhay saen mein karesaan
Jithay toon akhay saen uthay mein waysaan
Tainday saray kam mein karesaan
Har hukum tainda mein manesaan
Toon hik wari mur aa mahiya

Guru

Re: Miscellaneous Poetry

http://gupshup.org/gs/gsmedia2/23258/files/5aaa4ba7d271f.jpg

Re: Miscellaneous Poetry

Aaj dekha hai tujh ko deyr k baad
Aaj ka din guzar na jaey kaheen

Re: Miscellaneous Poetry

^ din guzray na guzray tussi so jaoo :barbie:

Re: Miscellaneous Poetry

Kuch log mujhe apna kaha krte thy
Such mein wo log sirf kaha krte thy

Re: Miscellaneous Poetry

Dil ki batein Habeeb jhuti hain
Dil bhi khana khrab bikte hain

Re: Miscellaneous Poetry

*
**
مَیں کئی روز سے، خود سے بھی خفا بیٹھا ھوں
**

مجھ سے روٹھا نہ کرے، کوئی بتا دے اُس کو