Re: Mere Paas Paas (The Sequel)
^ main ne bhi sirf last scene hi dekha hai... Ana kahin chali jati hai.. sab usey dhoodney nikal jate hain " Ali, Shariq , Adil"...
Shariq, emaan ki grave pe jata hai.. to wahan usey Ana mil jati hai...
Ana ro rahi hoti hai .. aur kehti hai main aap ko face nahi kar sakti... Shariq kehta hai k' nahi beta.. tumhain sachi pata nahi thi'
tum to meri ana ho betaaa!
Shariq sahab ko bohat jaldi khayal aa gaya BETA kehne ka... poore serial main to kaha nahi tha