Meray hathoon qatal ....

Re: Meray hathoon qatal ....


maujood woh hotaa hai jo ghaaib naa ho... mantaqi nateejaa aap kay la shaa'oor maiN mojood hotaa hai laikin aap kaa teht-ush-shaoor, laa shaaoori kee hudood say kinaaraa kartaY huaY sha'oor kee sarhad par sar takraataa phirtaa hai... iss kay nateejaY maiN sha'oor aur la sha'oor kee jang chiR jaati hai jiss maiN teht-ush-sha'oor sirf tamash been kaa kaam anjaam detaa hai... hashiya-e-kalam kay taur par jub teht-ush-sha'oor zameer kay haathoN majboor ho kar iss jang-o-jadal kaa hissaa bantaa hai tau neteejatan bahut saaraY sha'oor zakhmi ho jaataY haiN.. umeed hai aap kaa la sha'oor abb tukk jaag chukaa ho gaa :p