Meraa dil bhi shauq se todo ek tajurbaa aur sahi

Meraa dil bhi shauq se todo ek tajurbaa aur sahi

*mausam ko ishaaron se bulaa kyoon nahin lete
roothaa hoon main to manaa kyoon nahin lete

deevaanaa tumhaaraa koi ghair nahin hai
machlaa bhi to seene se lagaa kyoon nahin lete

khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jalaakar
tanhaai ko rangin banaa kyoon nahin lete

tum jaag rahe ho mujh ko achchhaa nahin lagtaa
chupke se meri neend churaa kyoon nahin lete

*