**Asalam u Alaikum !**
Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humeinye
Zameen chaand se behatar nazar aati hai humein
Surkh phoolon se mahak uthati hain dil ki raahen
Din dhale yuun teri aawaaz bulaati hai humein
Yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
Raat ke pichale pahar roz jagaati hai humein
Har mulaaqat ka anjaam judaai kyun hai
Ab to har vaqt yahi baat sataati hai humein
**BeINg LoNEly !!! sID !!!**

buhat mila na mila **zindagi** se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai
ham ek umr se waqif hain ab na samjhao
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai
kare na jag main alaw to sher kis maqsad
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai
ajal k hath koi a raha hai parwana
na jane aj k fehrist main raqam kya hai
sajao bazm gazal gao jam taza karo
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
lihaz main koi kuch dur sath chalta hai
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai
**BeIng LoneLY !!! sID !!!**
**Asalam u Alaikum !**
Zindaa hoon is tarah ki Gam-e-zindagii nahii'n
Jalataa huaa diyaa hoon magar roshanii nahii'n
Wo muddatein hui'n hain kisii se judaa huay
Laikin ye dil ki aag abhii tak bujhii nahii'n
Aane ko aa chukaa thaa kinaaraa bhii saamanay
Khud uss ke paas merii hii nayyaa gaii nahii'n
Hoonto'n ke paas aaye hansii ,kyaa majaal hai
Dil kaa muaamalaa hai koii dillagii nahii'n
Ye chaand ye havaa ye fizaa, sab hai maa'nd maa'nd
Jo tuu nahii'n to in mein koii dil-kashii nahii'n
(Behzaad Lakhnavi)
**BeIng Lonely !!! sID !!!**
**Asalam u Alaikum !**
Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai aur Baarish ka Zamana hai
Kya shart-e-mohabbat hai, Kya shart-e-zamana hai
Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai
Uss paar utarne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai aur Toofaa ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo Andaaz Mohabbat ke
Ek Shakhk ko Aankhon se Shair sunana hai
Bholi si Adaa koi phir Ishq ki zidd par hai
Phir Aag ka Darya hai aur Doob ke jana hai
**BEinG lONEly !!! sID !!!**
**Asalam u Alaikum**
mohabbat kii duniyaa meN mashhuur kar duuN
mere saada dil tujh ko maGhruur kar duuN
tere dil ko milne kii Khud aarzuu ho
tujhe is qadar Gham se ranjuur kar duuN
mujhe zindagii duur rakhtii hai tujh se
jo tuu paas ho to use duur kaar duuN
mohabbat ke iqraar se sharm kab tak
kabhii saamnaa ho to majbuur kar duuN
ye be rangiyaaN kab tak e husn-e-rangiiN
idhar aa, tujhe ishq meN chuur kar duuN
tuu gar saamne ho to maiN beKhudii meN
sitaaroN ko sajde pe majbuur kar duuN
nahiiN zindagii ko vafaa varnaa Akhtar
mohabbat se duniyaa ko maamuur kar duuN
Akhtar Sheerani
**BeiNg loneLy !!! sID !!!**