Mera Intikhaab Zindagi Ke Naam I

Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)

Inshaa jee utho ab koooch karo is shehar main jee ko lagana kya
Wehshi ko sukoon se kya matlab Joogi ka nagar main thiikana kya


Iss dil k dareeda daman ko dekho to sahi socho to sahi
Jis jhooli main soo(100) chaid huay uss jhooli ka phailana kya


Shab beeti chand bhi doob chala zanjeer pari darwazay main
Kion dair gaye ghar aaye ho sajni se karo ge bahanaa kya


Phir hijar ki lambi raat mian,sanjoog ki to he aik ghari
Jo dil main hai lab pe aanay do,sharmana kya,ghabrana kya


Iss roz jo unko dekha hai,ab khwaab ka aalam lagta hai
Uss roz jo un se baat hui,woh baat bhi thi afsaana kya


Uss husn k suuchay mooti ko hum dekh sakein,par chuu na sakein
Jisay dekh sakein par chuu na sakein woh daulat kia, khazaana kya ?