Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
mein ne aghaaz say anjaam-e-safar jaana hai
sabko do chaar qadam chal k theher jaana hai
gham wo sehra-e-tamanna, k bagoolay ki tarah
jisko manzil na mili usko bikhar jaana hai
teri nazron mein mere dard ki keemat kya thi
mere daaman ne to aansu ko gohar jaana hai
ab k bichray to na pehchaan sakein gay chehray
meri chaahat, tere pindaar ko mar jana hai
jaanay waalay ko na roko k bharam reh jaey
tum pukaaro bhi to kab usko theher jana hai