Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
abi is taraf na nigaah kar maiN Gazal ke palkeiN saNvar luuN
meraa lafz lafz ho aa'inaa tujhe aai'ney meiN utaar luuN
maiN tamaam din kaa thaka hua tu tamaam shab kaa jagaa hua
zaraa Thahar jaa isi more par tere saath shaam guzaar luuN
agar aasmaa'N ki numaa'ishoN meiN mujhe bhi izn-e-qayaam ho
to maiN motiyooN ki dukaan se terii baali'yaa tere haar luuN
ka'ee ajanbi teri raah k mere paas se yuuN guzar gaye
jinheiN dekh kar ye tarap hui teraa naam leke pukaar luuN
BeiNg lonElY !!! SiD !!