Re: M3rA INTIKHAAB (Zindagi k Naam)
~ Lonely Soul Me ~
Kaise guzray ga yeh safar tanha
Hai gali aur rehguzar tanha
Aag phir aarzoo ki bharki hai
Dil sulagta hai raat bhar tanha
Zindagi se juda tu hona hai
Niklay ga dam magar tanha
Jab kabhi bhi qadam barhaaye hain
Khud ko paaya hai bekhabar tanha
Sun raha hoon faqat yeh shor-o-gul
Hai to yeh zindagi, magar tanha
Hai shikaayat "Saahil" hontoon par
Zindagi kion hui basar tanha
BeInG lOnely !!! SiD !!!