Re: Mera Intekhaab Zindagi k naam!!(collection in one thread)
Asalam U Alaikum ! A Great Ghazal ![]()
Ishq Bekaar, Muhabbat Barbaad
Shoalaa-e-Dil Ki Hararat Barbaad
Main Use Bhuul Na Paayaa Ab Tak
Saal-Haa Saal Ki Mehnat Barbaad
Koi Suntaa He Nahii’n Qissaa-e-Dard
Harf Barbaad, Hikaayat Barbaad
Vo Hai Naaraaz Abhii Tak Mujh Se
Minnatein Zaaya, Samaajaat Barbaad
Us Pe Khultaa He Nahii’n Haal Mera
Saarii Tashriih-o-Vazaahat Barbaad
Kaun Barbaad Karegaa Mujh Ko
Main Hoon Khud Apnii Ba-daulat Barbaad
Ab Bhi Hain Uskii Galii Ke Pheray
Baarish, Sang-e-Malaamat Barbaad
Ab Bhii Aabaad Hain Yaadein Uskii
Ehtimaam-e-Gham-o-Furqat Barbaad
Be-Talab Us Ne Talab Kii Puurii
Ho Gayii Saarii Ibaadat Barbaad
Maut Ko Bhii Tuu Parakh Kar Dekh
Ziist Barbaad, Nihaayat Barbaad
Haasil-e-Jazb-e-Wafaadaarii “Naim”
Zaayaa, Bekaar, Akaarat, Barbaad
BeInG LoNeLY !!! SId !!!