Re: MEIN TUJHAY CHAHTAA NAHIN LAIKIN...........
MEIN TUJHAY CHAHTAA NAHIN LAIKIN...........
Mein tujhay chahtaa nahin laikin..... Laikin phir bhi shab ki taweel khalwat mein Taree auqaat soochta hon mein Taree har baat sochta hon mein Kon say phool tujh ko bhatay hain Rang kya kkya pasand aatay hain *Kho saa jata hon taree janat mein *
mein tujhay chahta nahin laikin.... Phir bhi ehsas say najaat nahin Soochata hon tu runj hota hai Dil koo jaisay koi daboota hai Jis ko itna sarahta hon mein Uss mein tujh see tu koi baat nahin
Mein tujhay chahta nahin laikin..... Phir bhi jab pas tu nahin hotee Khud ko kitna udaas pata hon Gum say apnay hawaas pata hon Janay kya dhun samaee rahtee hai dil say bhi guftagu nahin hotee
Mein tujhay chahta nahin laikin...... phir bhi rah rah k meray kan'on mein Gonjtee hai taree hasee'n awaaz Jaisay koi na-deda koi bajtaa saaz Har sada na-gawaar hotee hai Dil ki dharkan bhi baar hotee hai Inn sakoot aashna tranon mein
Mein tujhay chahta nahin laikin....
buhat zabardast