Mehfil

kahaaN chup kar karnaY maiN bhai jaan…

you are welcome to flood with us in All Views, Images, and Voice .. they are open forums :smiley:

:smilestar:

:hmmm: Konsay kaam Soching

MOD nain mara tau :aq:

ab sech much me mar rehe heyn dil meyn mere ko kos rehe heyn :hehe:

sare ke sare kam :hehe:

:hehe:

:salam:

a poem of Faiz Ahmad Faiz

umeed hai ke aap sub ko pasand aaye gi :slight_smile:

Re: Mehfil

Nice one Ali ..You know what ?

That’s why we have created this mehfi.. so the poetry lovers like yourself may come and pay their tributes in form of these lovely jubbly contributions..

Looking forward for more

Faiz shaab's ' Raaz-e-Ulfat chhupa k daik lia '

etne moshkel ab moshkel metleb kon batyn gah :aq:

phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aaye
phir patton kii paazeb bajii tum yaad aaye

phir kuNjen bolain ghaas ke hare samandar mein
rut aii peele phuulon kii tum yaad aaye

phir kaagaa bolaa ghar ke suune aaNgan mein
phir amrat ras kii buuNd paarii tum yaad aaye

pahale to main chiiKh ke royaa aur phir haNsane lagaa
baadal garjaa bijalii chamakii tum yaad aaye

din bhar to main duniyaa ke dhandhon mein khoyaa rahaa
jab diivaaron se dhuup Dhalii tum yaad aay

(Nasir kazmi)

niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahiin
tuu bhii dil se utar na jaaye kahiin

aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahiin

na milaa kar udaas logon se
husn teraa bikhar na jaaye kahiin

aarazuu hai ke tuu yahaaN aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahiin

jii jalaataa huuN aur ye sochataa huuN
raayegaaN ye hunar na jaaye kahiin

aao kuchh der ro hii len 'Nasir'
phir ye dariyaa utar na jaaye kahin

(Nasir kazmi)

Re: Mehfil

i love it Dani !

:)

hameshaa der kar detaa huuN main

zaruurii baat kahanii ho
koii vaadaa nibhaanaa ho
use aavaaz denii ho
use waapas bulaanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN main

madad karanii ho usakii
yaar kii dhaaRas baNdhaanaa ho
bahut deriinaa raaston par
kisii se milane jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN main

badalate mausamon kii sair mein
dil ko lagaanaa ho
kisii ko yaad rakhanaa ho
kisii ko bhuul jaanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN main

kisii ko maut se pahale
kisii Gam se bachaanaa ho
haqiiqat aur thii kuchh
us ko jaa ke ye bataanaa ho
hameshaa der kar detaa huuN main

(munir naizi)

Kuch hum bhee kahaiN :)

Re: Mehfil

AQ Bhai, great selection of three ashaars! Share the poet's name and ghazal also.

Aliyish Bhai, great work!!

"Woh jo ghumgusaar ki ho talaash, to terey hazoor para rahon" ... Ali Miyaan ... :D

qurbatoN mein bhii judaii ke zamaane maaNge
qurbaton mein bhii judaaii ke zamaane maaNge
dil wo be-mehar ki rone ke bahaane maaNge

apanaa ye haal ke jii haar chuke luT bhii chuke
aur muhabbat wohii andaaz puraane maaNge

ham na hote to kisii aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasaane maaNge

dil kisii haal pe Qaane hii nahii.n jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maaNge

KaheeN tum apni QismaT ka

MuhTaRaam Saleem KoSaaR ki ek Ghazal

Re: KaheeN tum apni QismaT ka

nice.

Re: KaheeN tum apni QismaT ka

Buhat khoob janab.