Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
yehi nahi hai k aa'nsoo samait laa'ya hoon
maiN us k aankh ki **khushboo **samait laa'ya hoon
shab-e-fiRaaq ki awaaz bhi thei lakiN main
shab-e-fiRaaq k gay'soo samait laa'ya hooN
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
maiN ne teri aankhooN maiN parha Allah he Allah
sab bhool gay'aa yaad raha Allah he Allah
phoolooN maiN basi chandni raatooN ki namazaIn
**khushboo **se sitaaRoon ki dua Allah he Allah
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
aks khushbo hoon bikharnay say na rokay koi
or bikher jaaon to na mujh ko sametay koi
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
meiN kya karoon k ab tou khulti nahi heiN aankheiN
ik khuaab dey geya hey khushbu meiN wuh saja ke
meiN fiza mein urrta urrta terey paas puhanch jaaoun
aey kaash laa k dey dey koi mujhko par hawaa ke
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Wuh khayal hey ik dhanak-numa kai khushbuoN mein basa huwa
ussey soch looN kuch deir tak tou mehak uttheiN merey baam-o-dar
wuh haath dey tou thaam looN ke tamam umr rahey saamney
wuh saath chaley jo gumaaN mein tou mehak utthey mera har safar
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Ye Phool ye Khushbu ye kaliyaaN ye nazaarey
pyaar sey dekho tou sab rang heiN tumhaarey
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
main nay wo phool, wo khushboo, wo saman'bar dekhay
jagtee ankhoon nay kya khwab kay manzar dekhay
sab nay seenoo'n main chupa rakhe hai nafrat "asgar"
youn galay miltay hoay log to aksaar daykhay
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Hum ney dekhi hai un ankhon ke mehkti KHUSBOO
haath sey cho key usey reshton ka ilzam na dey
sirf ahsas hey ye,rooh sey mehsoos karo
Pyaar ko pyaar he rehney do koi naam na do
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
phalay ge teray haath ke khushboo bhe is kay sath
pagal hawa kay doosh pay likhaa na ker mujhay
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Rangeen nazaroon main,
jab tum mujhey dhoondo gay,
aankhon main nami hogi,
mehsoos tumhein har dum,
phir meri kami hogi......
aakash pay jab taaray,
sangeet sunaye gay,
beetay huvay lamhoon ko,
aankhon main sajayein gay,
tanhaye kay sholoon say,
jab aaag lagi hogi
mehsoos tumehin har dum
phir meri kami hogi,
sawan ki ghataon ka
jab shoor suno gay tum,
bikhray huvay maazi kay
avraaq chuno gay tum
mahool kay chehray par
jab dhool jami hogi
mehsoos tumhein har dum
phir meri kami hogi
jab naam mera loo gay
tum kaanp rahay ho gay
aanso bharay daaman say
munh dhaanp rahey ho gay
rangeen ghataon ki
jab shaaam ghani hogi
mehsoos tumhein har dum
phir meri kami hogi
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Kuch aur bhi saansen lene par majbuur-sa main ho jata huun
Jab itne bade jangal men kisi insaan ki Khushbuu aati hai
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
KhushBoO KaheeN Na ja'eY YeH IsraaR HaY BuhaT
AuR YeH BheE AarzoO KeH ZaraA ZulF Kholi'aY
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
tujhe khushboon ki hai arzoo tujhay roshni ki hae justujuu
maiN hawa nahi main diya nahi, mere humsafar abhi soch le
Re: Mefil-e-Unwaan – Khushbu
i guess mod g ne mention kia hia k sirf aik sher not a puri gazal OR poem…or i guess toppic hahi Khushboo jo is main nazar tu nahi a rhei kahiN :halo:
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
ye meri mehak hai ke lab-E-yaar ki khushbu
kis raah ki janib se saba ati hai dekho .
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
mere pehluu meiN wo aa'yaa b tu*** khushbu*** ki tarah
maiN usay jitnaa samaituuN wo bikhartaa jaa'ey
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Kahtay Hain Husn Khad O Khaal Ka Paband NaheeN
Har Haseen Shay Pah Mujhay Tayra Gumma'n Kiyun Na HovaA
Is Say Pahlay Kah Tayray Limks ki Khushboo Kho Ja'eY
Tujh Ko Paa Laynay Ka Armaan Javaan Kiyun Na HovaA
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Mayri Aankhoo'n Main Tayray Rung Rahain Ya Na RahaiN
Apni** Khusboo **Mayri Saansoo'n Main Basa'ey RakhnaA
Shayad Aaja'ey Koi Mauj-e-Saba Ki SooraT
Chilmanain Ghar Kay Dareechoo'n Ki Uttha'ey RakhnaA
Re: Mefil-e-Unwaan -- Khushbu
Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jao kisi din !!