Manzar Kashi Competition - 1

Re: Manzar Kashi Competition - 1

I think 200+ 50 relaxation should go for this part.

Re: Manzar Kashi Competition - 1

[note]

  • You cannot exceed more than 50 after 200 words count
  • You may divide your content in paragraphs

[/note]

Khiyalun ki duniya:

Wohi aam sa din baki dinun ki tarah, waisy he aam sy log ,wohi aam sa kam, wohi aam si hasratain,wohi aam si soch k jany ye din ye aam sy din kab khas dinun me badlain gy kb tk choti choti khuwaishun ko pora krny k liye logon k agy sawal krna pary ga wo in sab sochun me gum tha k achank sy awaz aye JALDI JALDI HATH CHALAO SAHAB APNI GARI LENY ATY HE HUN GY OR IS BAR SAHAB NY WADA KIA THA K KAM ACHA HO GA TO UJRAT BHE ACHI MILY GE OR TUMHE BHE TO APNI MAA KO DOCTOR K PAS LY KAR JANA THA.....Maa?? Han maa jo sari raat dard sy tarapti rahi or wo sirf usy dard sy kirahty dekhta raha or subha kaam py aty wakt keh aya tha Maa fikar mt krna aj mujhy achi ujrat mily ge me tum ko dawa la k dun ga.Apny he khyalun me magan usy pta he na chala kab sahab aye apni gari ly gaye kb ustaad ny us k hath py paisy rakhy fakat teen laal note or wo ye sochta raha kia wo is sy maa ki dawa or 2 wakt ki roti ly saky ga....pata nahi...pata nahi..

Re: Manzar Kashi Competition - 1

Title :**Hasratein baqi reh jayein gi

**Ye duniya-e-dastour ban gaya hai.. insaan insaan ka dushman, koi dost,risteydaar,bharosamand na raha,sab ko apni fiker hai amaal ki kisi ko fikr na rahi,hadun ko pamaal kiya jaraha hai,khuley Amm zulum kiya jaraha hai.. Or is ki waja hain Hasratein .. jo meri bhi hai, jab chota bacha tha school janney ki hasrat,pherney ka shouq,bara hu ker kuch banun ga apney mulk ke liye kuch larun ga mager ajj kahan hun ,koi mujh se bhi tu pochey ke meri khuwaish kya, baba ki ankh mae hasrat bharey ansu dehk ker betey ko na pherha saka ,wo un ka mou pher lenaa ya koi bahana bana dena ,abb samj agaya ye duniya mere liye nahi baney akhirat mae sab mil janey ki hasrat …

Ye duniya fani hai lekin hasrat wo cheez hai jo insaan ko le dobti hai ,Han mae bhi issi hasratun bhari duniya ka hissa hun,lekin mae rahun ya na rahun,jo bhi mera naseeb hai mujhe koi shikayat nahi lekin yahan miley ya na miley wahan zaroor mil jaye..ye Hasrat baqi hai

Re: Manzar Kashi Competition - 1

:k:

Last two days. We need more entries… cheti cheti

Re: Manzar Kashi Competition - 1

Mein bohoton se behtar hoon.

Aaj phir unko apni workshop ke saamne se guzarte huwe dekha.
Sufaid qameez aur khakhi trouser pehne, baalon pe tail lagaye, kass ke kangi kiye huwe. peechay bag latke, chehre pe muskurahat liye, nanhe nanhe school ke bachay.
Itne mein ustad ne peechay se mujhe ek kas lagayi, "jaldi kar, sahib intezaar kar rahe hein", ek bache ki nazar mere pe parhi aur usne thokar khai. Gira nahi woh, school bag ke saath woh maa ka pyar bi le kar chalta tha.
Pyar to meri maa bi mujhe bohat karti hai, lekin yeh bhook tehzeeb ke adaab bhula deti hai.
Bachpan se baap mar gaya. Uska karz utaarne ke liye maa ne apna ek gurda baich diya, logon ke ghar kaam kar kar ke 1 waqt ki roti milti hai, school janay ka to mein tassawur bhi nahi kar sakta.
Lekin mein larhoon ga, ghurbat ko shikist doon ga. Haar nahi manoon ga aur har haal mein Allah ka shukar adaa karoon ga ke mein ghabeeb zaroor hoon lekin kam-chor nahi, haraam ka nahi kamaata, beekari nahi, maa ka na-farmaan nahi. Yehi amaal mujhe zamanay mein fakhar se sar utha kar chalatay hein.

WORDS: 194

Re: Manzar Kashi Competition - 1


“Haiy kaash kay may Sharmila kay chakkar may na para hota. Abba ki sun lee hotee, school may ziadah tawajjoh deta. Lekin aathweeN jamaat teesri baar fail karnay ka nateejah yeh nikla kay Sharmila bhee haath say gaee aur abba nay school ki fees denay say bhee inkaar kar dia. Ab khao thokareiN. Bara hero banta tha na”

Re: Manzar Kashi Competition - 1

Mehnatkash Bachy - Child Labor

Ustad nay moti gali bak kar chotay say nau barah(9-12) ka pana manga- Yeh chotay ki zindagi main koi nai baat nahi thi, balky yeh roz ka mamool hai- Usko apny ustad ki taraf say hameesha buray rawwaye ka samna karna parta hai- Aur usko ujrat bhi waqt par nahi milti- Bachy masoom hotay hian, unkay dil bohat paak aur saaf hotay hian, woh kisi kay baray main baligh logon jaisi keena parwari nahi rakhsakty- Unki masoomiat ka istarah say neelam hona hamary mashry ki bari ahm burai hai.

Pakistan duniya kay taraqi pazeer mumalik main shumar kiya jata hai- Ziydah tar mazdoor tabqay kay haqooq uskay malik gasab kar laity hian- Dunya main taraqi yafta mumalik kay han bhi child labor ka concept paya jata hai- Mager usaky kuch asool waza hain, jaisay kam say kam umer 16 saal muqarar hai.

Masla sangeen hai par iska hal bhi mumkin hai, qoomi qanoon saz idaray child labor aur kaam ki jagah par harasan karny kay mutaliq moasar qawaneen bana kar iss masly ko qaboo kar sakty hain- jabkay qanoon par amal daramad karny kay liye mutaliqa mehakmon ko munasib tarbiat de kar iss chez kay honay kay imkan ko mumkina had tak khatam kiya jasakta hai.

Re: Manzar Kashi Competition - 1

Please take participate in voting process…
http://www.paklinks.com/gs/culture-literature-and-linguistics/634862-poll-manzar-kashi-competition-1-a.html