Imaan taza hua to sahi moqay par! Aur huzur-e-wala, aap ko GS par aaney ka time tha us nazuk moqay par? Abey ullu kay, us moqay par to GS ki maN ki aaNkh!
Oh, my baap, kyoN aap kuch logoN ka eemaan hilaaney ki koshish kar raheN haiN? Kis khubsoorti say aik mushkil bayaaN kai aur us ka hal diya? Aisi bayani say aik aur mushkil khaRi hojaati hai.
Jab jaisey kaam niklay. aglay ko daikh kar mood ki baat hoti hai. Mood jab jaisey haavi aaey…
“behari ki” my foot! bechari merey haath lagey (kaash…sigh) to… to… to… hmmm sochna paRey ga. MeN nay kaha tha keh… hold on… she came at me with manhus right off the bat! The nerve! Women can assume anything anytime and we don’t have a hole to hide in. That’s not fair! Aaand when I said keh maza aaey ga… “Kaminey” - teri to…! Aur behen jee… oops…sorry… hope you don’t mind it… begum sahiba (yeh sahi hai…aik khatoon ko mukhatib karney ka sahi tareeqa) aap ko kia maaloom - khaak maaloom - jo us ki taraf daari kar rahiN haiN.
And vice-versa!!!
LP - bach gayiN warna tumhari GS ki trial membership terminate hojaati… baal baal bach gayiN.
Confused: it’s not which isle you shop in… well, on second thought… if you are talking from experience then I will defer to you
Lagta hai jumma bazaar jaatey ho…
Haan munnay - Lab meN jo paRha tha … practical meN kitna samajh meN aa raha hai?
“kon thi woh bechari” - Sigh… ab kia batauN JJ tum ko. Mujh ko us say qurbat na hoti to jab us nay “Manhus” kaha tha to meray muNh say ullu ki … nikal jaata magar nahiN nikla. Daikha abhi bhi nahi kaha kuch. Izzat hai us ki. Lekin point yeh hia keh aurat aisi cheez hoti hai, aisi cheez hoti hai keh kam… khair chhoRo, jaaney do. us ko to meN nay bola keh kia kia mayney jo is tarha bola? Aur malum hai… is baat par to meN aik dum paani paani hogaya - agley din woh kehti hai keh hope you didn’t mind what I said yesterday!
Mazaaq meN bola tha. haaeeey… meri apni bewi nay kabhi kuch aisa nahiN kaha aur yahaN kisi aur ki biwi nay aisa kaha. jannu’s mind is going in gear…