MAN-O-SALWA

Re: MAN-O-SALWA

yaar itni zabardast epi miss kar di… maza aa gaya amazing , superb , :lajawab:mindblowing :biggthumb

Zaini k ghar per sheraz k parents aate hain.. wo zaini se maafi mangte hain, aur sheraz k liye madad mangte hain… per zaini nahi manti.. bohat hi emotional dialouges hote hain zaini k …

Sheraz zaini ko jail main bulata hai aur us se kehta hai mujhe yahan se nikalo aur kehta hai “main aaj bhi tum se mohabbat karta hoon mujhe maaf kardo”
but zaini is bhi nahi sunti aur kafi emotional dialouges hote hain again..
phir sheraz zaini se aisi baat keh deta hai k foran wo wahan se chali jati hai (asma yeh tum khud tv per dekh lena):slight_smile:

Zari, jamal se fone per pakistan baat kar rahi hoti hai tab us ki baatain peechay se Karam sun leta hai aur us se pochta hai k jamal kon hai ??? phir wo khud hi sab kuch bata deti hai k " main jamal ko yahan se paise bhejti hoon aur yeh k us wo visa mil jaye ta k main us k saath yahin rahon.. Karam us se kehta hai k "tumhain mujh se kia chahiye?? Talaaq .. phir zari koi jawab nahi deti aur bas ro rahi hoti hai :teary1:

Zaini ghar aa kar sultan ko sheraz ki baat batati hai … aur wo buhat upset hoti hai .. zaini ko ab pechtawa hai apni izzat khone per … wo kehti hai " IS IS sheraz k liye main ne apni izzat ghawan di" :teary1: