Main Zinda Hoon Abhi!

Re: Main Zinda Hoon Abhi!

saliqa hi nahi shaayad use mahsoos karne ka
jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai

usuloon pe jahan aanch aaye takrana zaroori hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai