OMG
September 6, 2006, 8:56am
41
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
MaiN raqeeb hooN kissi aur kaa
MujhaY taaRtaa koi aur hai:smooth:
MujhaY chakkaroN maiN phaNsaa diya
MujhaY ishq naY tau rulaa diyaa:teary1:
MaiN tau MaaNg hooN kissi aur kee
MujhaY MaaNgtaa koi aur hai:naraz:
Hai ajab nizaam zakaat kaa, meraY mulk maiN, meraY des maiN
IssaY kaaT-taa koi aur hai, issaY baaNT-taa koi aur hai:smilestar:
Yeh Siyaasiyaat kaa khel hai, Yeh MunafiqoN hee kee jhel hai
YahaaN bhoNktaa koi aur hai, yahaaN kaaT-taa koi aur hai:phati:
Ajab aadmi hai yeh Qasmi , issaY baY qusoor hee jaaniye
yeh tau yaar hai kissi aur kaa, issaY chheRtaa koi aur hai:blush:
Wah wah…aap ki is harkat par mujhay aik mazmoon “Kuttay ” yaad aa geya. Jis mein Kuttoon ki laRdayi ka waqeya likha howa tha…
Maqta…Ghazal…Do ghazlay waghera waghera
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
isnt there a show called mein khayal hoon kisi aur ka..on geo tv?
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
mujhay soochta koi aur hay
A very famous ghazal.
Back in the university days, when we used to go to the campus for the ONLY purpose of eating chaiey samoosay in the canteen, visiting KU to buy ball point pens from the store, and reading newspapers in the KU Library , and conducting Mehfil-e-ghazal in the Mechanical department corridors, this ghazal was quite IN at that time.
BUT with a twist - off course
There were many different versions at that time - most of them invented by us
Examples…
Main Journal hooN kissi aur kaa - Mujhay CHaapTa koi aur hay
Main gaiey hooN kissi aur ki - Mujhay DooHtaa koi aur hay :o
ETC ETC ETC.
Some are classified and cannot be written here
Please go ahead - spill the beans - and tell us what was on YOUR mind when you used to GunnGunna this ghazal in the bedroom, bathroom, living room …
Back in our time, there was a different song and singing it the way it was without twisting used to make an effect:
Aaj mein ooper
Asma neeche
Asma ka jeena haraam kar ke rakh diya tha
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
Tumhein sochta kaun hai?
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
mujhay soochta koi aur hay
A very famous ghazal.
Back in the university days, when we used to go to the campus for the ONLY purpose of eating chaiey samoosay in the canteen, visiting KU to buy ball point pens from the store, and reading newspapers in the KU Library , and conducting Mehfil-e-ghazal in the Mechanical department corridors, this ghazal was quite IN at that time.
BUT with a twist - off course
There were many different versions at that time - most of them invented by us
Examples…
Main Journal hooN kissi aur kaa - Mujhay CHaapTa koi aur hay
Main gaiey hooN kissi aur ki - Mujhay DooHtaa koi aur hay :o
ETC ETC ETC.
Some are classified and cannot be written here
Please go ahead - spill the beans - and tell us what was on YOUR mind when you used to GunnGunna this ghazal in the bedroom, bathroom, living room …
Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Mujhe Sher nahi aata kisi aur se suno:D
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
Jise dil diya woh dilhi chali gayi..
Jise pyar kiya woh italy chali gayi...
Dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
Aap log is thread ka baira gharaq kar rahe ho
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
means …
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
lakkis25:
means …
depends…
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
Capricorn:
depends…
AQ
September 6, 2006, 7:11pm
51
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
MaiN dakaar hooN kissi aur kee
MujhaY maartaa koi aur hai :yukh:
aik aur issi ‘zameen’ maiN shair hai, along the same lines but I’ll rather skip that
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
MaiN dakaar hooN kissi aur kee
MujhaY maartaa koi aur hai :yukh:
aik aur issi ‘zameen’ maiN shair hai, along the same lines but I’ll rather skip that
Actually woo issi zameen wala shair is the CENTRAL IDEA of this thread
CAPRI - YEAh yeah… Asma and Aasmaa naam ki laRkiyoon ka jeena haram ho gayaa thaa
K_Khan
September 6, 2006, 8:18pm
53
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
aysai ganai na gaya karo . something something happens. :o
ATA
September 6, 2006, 8:28pm
54
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
tu dakaar hay kisi aur ki
tujhay dakaarta koi aur hay … :s
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
Tu PaHaaR hay kissi aur ka - Tujhay KHoodTaa koi aur hay
ATA
September 6, 2006, 8:59pm
56
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
aakhir yeh 'kisi aur' hay kon ? :s
kahan rehti hay yeh balaaa ? :s
AQ
September 6, 2006, 8:59pm
57
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
Tu dukan hai kissi aur kee
TujhaY looT-taa koi aur hai
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa…
Tu khaaL hay kissi aur ki - Tujhay utaarta koi aur hay
ATA
September 6, 2006, 9:05pm
59
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
'koi aur' kon hay ? :(
AQ
September 6, 2006, 9:08pm
60
Re: Main khayal hooN kissi aur kaa...
Tu maal hai kiss aur kaa
TujhaY 'Taapta' koi aur hai