Shikra mere anaam-yafta flirt kabootar, kissi larki ko to baksh do, warna ham doosray larkay siraf kursian laganay qaabil reh jayengay har larki ki shaadi par.
**SKD **Haan bahi, ab mein koi dost thori hoon :hinna:
Samad Mein aisa kar sakta hoon k Gupshup par larkiyon sey flirt karta hoon, tum unn sey off-gupshup (MSN, Yahoo, G-messenger etc.) flirt kar liya karo, iss tarha dono ka guzaara ho sakta hai
*^ very nice idea, taa kay larkian mere MSN pay anay tak, aap unka connection gupshup par hi secure kar do, aur mai msn par betha kabootar ginta rahooN.
*
Shikra ko bulayo to 2 kilo ink bhi in stock rakhna, cuz shikra nay apna fountain pen pakar kar sab ko autographs dene lag jaanay haiN, itne autographs Atif Aslam nay concert kay baad nahi diye hongay jitna Shikra day ga.
SKD Zaroor bulana shaadi par, kafi arsey sey koi shaadi nahi attend kee, isi bahaney khoobsoorat larkiyyan dekhney ko milen gee Samad ko matt bulana, uss din gupshup iska hoga aur ye larkiyon sey unlimited baat kar sakt hai yahan.
Samad Chal fikar matt kar yaar, tu kahta hai tou mein gupshup hi chor deta hoon, phir gupshup bhi tumhara aur MSN bhi, tu aik baar kah kar tou dekh bhai.
Such mein hi bol diya, mein tou jazbaati dialogue maar raha tha
Chal yaar, tu bhi kia yaad karey gaa, mujhe kuch time dey, jaisay tez chalti train ko rukney k liye time chahiye hota hai, waisa hi kuch mera bhi hisaab hai. Inshallah Pakistan k judges bahaal honey sey pahley tera kaam ho jaye gaa
^ muje moti larkian pasand haiN, aur jaha tak baat rahi burhi, to acha hai, jitni boori ho gi, utna uska acha tajarba ho ga, jaha tak baat rahi ghoornay ki, to wo desi hi kya jo shaadi mai ankhain paar kar ghooray mat.