Hammad jee, Hamare ghar ki khabar ghar walon se ziyada aap ko nahi hai.. aur waisay bhi, ghar walon se ziyada sachai koi nahi jaanta. Intelligence ko aap consult karlen, waisay bhi lagta hai aap ke paas kaafi fuzool time hai ;-) Lagta hai aapko problem affair se nahi, Fehmida ki post aur aurat hokey mulq chalaney se hai =)
By the way, aap zara iss khabar ki source to post karen. Hum sab ko intizaar hai.
Peerzay jee,
Hum jo baat kartay hain, dankkay ki chot pe kartay hain. Zulfi uncle ishq farmain gay to kia poori family ko bata kar karain ge...hai na sochnay wali baat ! Fehmida Aunti ki yeh halat ho chuki hai ke Parliament pay apnay husband ka gussa nikalnay lagi hain. kabhi kabhar to lagta hai ke woh hysteria ki mareez ban chuki hain. Fehmida Aunti ghar main rehti hon to husband pe nazar bhee rakhain, Khud Islamabad baithi hain or husband peechay say gul charray ura raha hai :)