Re: Live Updates of Azadi March
ager u nay IK key 5 ya 6 purani speeches aor tv program daikhay hon to u iss ko admire karon giay bilkul main bhi ghantoon baith ker iss ko sunta tha. Yeh logic k sath bat karta tha aor kabhi ghussay mein nahin aata tha. mein is k liye logon say bahas karta tha.
phir iss key hate speeches shuru hoien aor aab yah bokhla kar ulti seedhi batain jo hum student life mein kartay thay woh kar rha hey u mano ya nah mano 3rd class leaders wali sari khobiyan iss mein jama ho gaien hein.
mairey FB par woh post bhi hein jo iss k haq mein thien aor aab woh tamam posts bhi hain jo iss k khilaf hein. Tabdeeli achanak nahin aati ahista aahista aati hey
jasos serious guftagu kraty hoye ![]()