Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
jung main to dusmanon ka nuksaan hota hai magar
bike walay se larne main to car toot'ti hai brother :(
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
jung main to dusmanon ka nuksaan hota hai magar
bike walay se larne main to car toot'ti hai brother :(
Re: Let’s talk/Reply in Poetry Way
Zalim kabhi bumper se takrate hain, kabhi gadi ke neeche aate hain
Sau baar sunai hai khari khari, magar ye baaz nahin aate hain ![]()
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
dil ye karta hai mera tanker khareedon thok doon
ya phir main aik bull dozer in sab ka muun tor doon :(
Re: Let’s talk/Reply in Poetry Way
:mirch:
Lagta hai aaj aap ne sara time bahir guzara hai
Karachi ki garmi ka gussa bike walon pe utara hai
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
aaj nahi per bht dino ka gussa hai
ye to bhai 4 darwaish ka sa kissa hai :(
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
ye to her aadmi ka qissa hai, her shakhs ki kahani
Na bijli hai na pani hai, bus gilani hai aur kiyani hai :(
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
theek kaha hai aap ne mere muun ki baat chheen li
meri hogi bus sarri urdu ne tring tring tring :(
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Lo ab hum ne kar hi liya irada ghar jane ka
Traffic ka kia hai, waqt agaya driving azmane ka
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
best of luck
:D
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Ninja re ninja re kabhi to yahan per aa
Bethen ge baten karen ge............
Re: Let’s talk/Reply in Poetry Way
Hamary hansi pr jo kartain hain bila waja i’etaraz
baat karonga to ho gi woh larkiyan jal kr kabab ![]()
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
ye kin ladkiyon aap zikr kar rahe hain
Kiyun khamkhah ki fikr kar rahe hain
Re: Let’s talk/Reply in Poetry Way
Humain bhala kiyon ho kisi larki ke zikar se koi fikar o faqa
Woh kehtain hain na ke jalny waloon ka hota hy moonh kala ![]()
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
bhai Muqawwee, kia Khoob kah rahe haiN aap
mausoof kii fikr-e-be_jaa farmaa rahe haiN aap! :)
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Oh teri Khair ho LKK kaka
kisi rikshaw ke peeche likha tha
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Khalil Khan Fakhta bhai aay to bahaar aai
lagta hi kisi shajar pe se fakhta ki awaaz aai
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
bhai Muqawwee, kia Khoob kah rahe haiN aap mausoof kii fikr-e-be_jaa farmaa rahe haiN aap! :)
KKF Bhai aap ko kia pata LKK ki karammat ka
Ladkiyan gum karne wala mantar hai in ke paas jinnat ka
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Khalil Khan Fakhta bhai aay to bahaar aai lagta hi kisi shajar pe se fakhta ki awaaz aai
Bahar se yaad aya:
Dekhte hi dekhte ye harra kaise Neela ho gaya
Padhne bhi aasaan, andaz e bayan chamkeela hogaya
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Muqawee bhai buhat asaan si baat hy
kisi larki ki tareef karo larki nadaan hy
woh samjhy gi k mein tamaskhar bn gai
aankh uhjaal ke do dekho larki ghayab hy
Re: Let's talk/Reply in Poetry Way
Ye baat kuch samjah main aati nahi nahi
Tareef se ziada koi baat ladki ko bhaati nahi
Sun kar tareef ladkiyan fida ho jati hain
ghayab hona to door i baat, wahan se kabhi wo jati nahi