Lafz ba lafz Shayari - January

Re: Lafz ba lafz Shayari - January

sure!..maHboob lab-e-dariyaa baaNheN pasaare haathoN meN haar liye maHbooba ke intizaar meN baiThaa huaa hai aur Haalat-e-'tasavvur/Ghunoodgii meN vo aks-e-aab meN maHbooba ko apne paas aate huye dekh kar haar uske gale meN Daal detaa hai magar chuNk maHobboba sirf tasavvuraatii hai is liy haath meN vo thaamaa huaa haar paanii meN ‘chhap’ se gir paRtaa hai jiskii aawaaz se vo chauNk uTThaa hai…jab ba-jaanib-e-daaman dekhaa hai to use aHsaas hotaa hai k vo qatra-e-aaNsoo jo uskii palkoN pe Tikaa huaa thaa vo Dhalak chukaa hai…jo daaman ko nam kar gayaa.

yeh poorii intizaar kii kaifiiyaat kii ek musalsal Ghazal hai jiskaa 'unvaan hai ‘intizaar’. agar aap ko chaahiye ho to maiN use ‘intiKHaab forum’ par chaspaaN kar duuNgaa.