Lafz ba Lafz - Poetry game

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Dil Udas Hai Bohat Koi Paigham Hi Likh Do
Tum Apna Naam Na Likho, Gum-Naam Hi Likh Do

paigham

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

**Ghair lein Mehfil mein Bosay Jaam Kay
Hum rahein yoon Tashna Lub Paigham Kay

tashna**

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

kyon na hum usako dil-o-jan se chahen “tashna
wo jo ek dushman-e-jan pyar bhi karta jaye

dushman

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

**jo munkir-e-wafaa ho fareb us pe kyaa chale
kyoN bud gumaaN hooN dost se dushman ke baab meN

fareb**

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Faasle k ma'ni ka kyun fareb khaate ho
Jitne door jaate ho,itne paas aate ho.

door

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

**wo Khauf hai ke sar-e-shaam ghar se chalate waqt
galii kaa door talak jaayazaa zaroorii hai

Khauf**

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise

aaseb

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor ga

makaan

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Ajab **Makaan **Hai Jis Mein Makeen Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahi Aata

Makeen

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Udaasi Tu Sirf Mayray Dil Ke The Makeen
Phir Sara Mahool Hum Ko Baychain Kyon Laga

baychain

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna,
Ek Aag Si Jazbon Ki Behki Hui Rehna,

Is Husn Ka Shevaa Hai, Jab Ishq Nazar Aaye,
Parde Mein Chale Jaana, Sharmaye Hue Rehna,

Shewaa

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Mohabat ka Azal sey hai Yehi Shevaa
Jo Es ko Jaan ley... Ye Os ki Jaan ley...!!!

Azal

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

**na jis kii shakl hai koii na jis kaa naam hai koii
ik aisii shai kaa kyoN hameN azal se intazaar hai

Intezaar **

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Udas aankhon main shab kaa khumar dekha hai...
Ke pheli baar ussay beqarrar dekha hai...

Jisay khabar hii naa hoti thi mere annay ki...
Ussi ki ankh main ab intezaar dekha hai....

Beqarrar

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

**be-pardaa soo-e-vaadii-e-majnooN guzar na kar
har zarre ke naqaab meN dil beqaraar hai

Naqaab**

Re: Lafz ba Lafz - Poetry game

Ijzaat Hai Tumhain Chhor Kar Janey Ki Mujhe Janaa
Jatey Lamhe Khuda K Liye Rukh Se Naqaab Na Hatana

lamhe