Lafz Ba Lafz - poetry Game

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Hazaro Ki Ginti To Nahi Aati Par
Khayal Kuch Aisa Hai K Rait Ka Har Zara

Agar Nayaab Heera Ban Jaye
To Tohfe Mai Aapko Registan De Dein** **

registan

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

http://img145.imageshack.us/img145/2079/banjarahweeran.gif

banjar o weeran hai meri zindagi bilkul uss registan ki tarah
jisse to aboor to kar gaya magar thehr na paya

Banjar

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**phuut nikalin to kai shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii huii banjar aankhein

Tarasti**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

meri rooh tarasti hai teri khushboo ko

tum kahein or jo mehko tu bura lagta hai

rooh

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**nagmaa wahii hai nagmaa ki jis ko
rooh sune aur rooh sunaaye

Sunaaye**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Qissay Teri Nazar Ne Sunaey Na Phir Kabhi

Hum Ne Bhi Dil K Daag Dikhaey Na Phir Kabhi

qissay

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**Jis Nagar bhi Jaao, Qissay Hain Kambakht Dil Kay
Koi Le Kay Ro Raha Hai, Koi De Kay Ro Raha Hai

Kambakht**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Chupke se koi dil mein sama jata hai..
Jaise hume tadpaane mein mazaa aata hai..
Koi itna dard de jaata hai..
Par kambakht dil ko ussi pe hi pyaar aata hai..

mazaa

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**kaanton kii chubhan paii phuulon kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam mein royaa bhii hansaa bhii

Chubhan**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

***Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,
Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai...

Qarinay***

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**Chopa na raaz-e-muhabbat kise qarinay sey
nazar mili thi kay anay lagay pasenay sey

Paseenay**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

garmi-e-haalaat sey merey gaal numm hein
ansoo bhi hein merey paseenay mein
mujhe hasb-e-toufeeq sab ney loota hai
aik bhaghaawat hai merey seenay mein

bhaghaawat

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

***Saari Dunya K Riwaajon Se Baghawat Ki Thi*
**Yaad Aata Hai Kabhe Ham Ne Muhabbat Ki Thi

riwajon****

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

tera wajood riwaajon key aitkaaf mein hai
mera wajood terey ain, sheen, qaaf mein hai

wajood

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**Teri talaash mein mera Wajood hi na raha
Tabah kar gayi meri hasti ko arzoo terii

Hasti**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Hasti hi apni kya hai Zamane k samne,

Ek khwab hain jahan Main bikhar jayen ham To kya.

Zamana

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Ata Hai Yad Mujhko Guzara Hua Zamana
Wo Bagh Ki Baharen Wo Sab Ka Chah-Chahana

yaad

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**duniyaaa ke sitam yaad na apanii hii vafaa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhii muhabbat ke sivaa yaad

Sitam
**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

tum ney chup reh kar aur bhi sitam dhaaya mujh par
tum sey achchey hein merey haal pai hansney waaley

chup

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**ab aksar chup-chup se rahe hain yuun hii kabhuu lab khole hain
pahale "Firaq" ko dekhaa hotaa ab to bahut kam bole hain

Pahley
**