Lafz Ba Lafz - poetry Game

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Yeh chaawal say bauhat mushkil hai. :hmmm:

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

kiya gehuuN, chaawal, mothh, matar
kiya aag, dhuwaan, kiya angaara
sab thaathh paRaa reh jaaye gaa,
jab laad chaley gaa banjaara.
*(Nazeer Akbarabaadi)
*

dhuwaan

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**Dekh toh dil kay jaan say uthta hai
yeh dhuan sa kahan say uthta hai

dekh**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

mohabbat dekh li mein ney zamaaney bhar key logoun ki
jahaan kuch daam ziada houn wahan insaan biktey hein

daam

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Na toal Apni Muhabbat ko be Daam tarazoo Main !!!

Tu Kitna Anmol ha Kabhi Pouch Meri Nigaho se
tarazoo

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

bachpan hi sey maahir hein jou makr-o-fareb mein
baithey hein liye haathoun mein woh loag tarazoo

fareb

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se

raqeeb**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

*Ab to raqeeb se bhi adaawat nahin rahi,
Mujhe woh aziz, jisey tu aziz hai.. *

adaawat