Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai,
Jidher Jatay Hain Ya Badal, Udher Jaoun To Behter Hai,

ashk

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ankhoon nay bahai ashkoon ki lari
lari kay her moti per tha tera naam……

naam

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

pulaao khayeNge aHbaab, fatiHa hogii
tumhiiN bataao k marne ke ba'd kia hoga?

faatiHa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

es me naam kahan hy :emmy:

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

jab bhi aata hai tera naam mere naam ke sath
jaane kiyun log mere naam se jal jaate hain

Jal (burn)

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

ye ihbaab pe tha… ab aap Jal (jal jate ) pe shair sunaen. Hum KKF ko Fateha wala shair ek naye thread main sunate hain

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

lo, jitni der meN maiN ne itnii meHnat kar ke she’r nikaalaa utnii der meN kisii aur ne she’r posT kar diyaa…is meN meraa kia qusoor hai…Ghalib bhii farmaa gaye k:**

dar pe rahne ko kahaa aur keh ke kaisaa phir gayaa****
Jitne 'arse meN miraa liptaa huaa bistar khulaa!**

:cb:

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Zehno main khayal jal rahe hain
sochon ke alav-se lage hain

khiyal

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Mein Us kay khayal se nikaloon to kahan jaon
*Wo meri soch kay har raste pe nazar aata hai...!
*

Rasty

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Jis Raste Pe Main Berson Chal Rahi Te
Wo Rasta Mera Na Ta Muje Khbr Na Te

khabr

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

terii masrufiytain jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

Teri

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

dono jahan teri mohabat me haar k
lo ja raha hy koe shaby gham guzar k

haar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh
** Baghair meray zaraa Zindagi guzaar k daikh

***Muqablay*

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Muqablay Ki Zid Thehri Tu Aao Muqabla Kr Lain ..

****Ham Nay Kai Bar Zamanay K Bharam Toray Hain.. !!

zid****
**

**
**


Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun !
** Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !**

shikayat

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Mujhko Shikast-E-Dil Ka Mazaa Yaad Aa Gaya
Tum Kyun Udaas Ho Gaye Kya Yaad Aa Gaya

maza

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Saath

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

*Tujhey saath ley key chalna jesey sans letey chalna *
**Nazron ko meri kehtey kabhi yeh suna to hoga

saans**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Saans lenay ka tasawur bhi gara’n ho jis per..
Hosla wo meray jeenay ki ada sey mangey!!

Hosla

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Kuch Bhi Ho **Hausla ****Abhi Toota Nahin
Kya Hua Jo Raat Ka Saath Choota Nahin

Toota**