Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

peiR se ik nazm yaad aa rahi hai:

Is Waqt To Yun Lagta Hai Ab Kuch Bhi Nahin Hai

Mahtab, Na Suraj, Na Andhera Na Savera

Aankhon Ke Dariche Main Kisi Husn Ki chilman
Aur Dil Ki Panaahon Main Kisi Dard Ka Dera

Mumkin Hai Koi Vaham Ho Mumkin Hai Suna Ho
Galiyon Main Kisi Chaap Ka Ek Aakhiri Phera

Shaakhon Main Khayaalon Ke Ghane PeiR Ki Shayad
Ab Aake Karega Na Koi Khwaab Basera

Ik Bair, Na Ik Mahar, Na Ik Rabt, Na Rishta
Tera Koi Apna, Na Paraya Koi Mera

Maana Ki Ye Sunsaan Ghadi Sakht kadi Hai
Lekin Mere Dil Ye To Faqat Ek hi Ghadi Hai
Himmat Karo Jeene Ko to ek Umr Padi Hai

(Faiz Ahmed Faiz)