very nice Logta hai Mosoof ne gehri chot khaii hai???
Thanx dosto :)
Dil ki jagah seeney mein mohabbat hai tumhaari
Ab meri harr ik saans amaanat hai tumhaari..
yaar kahan say dhoond k laatay ho.....Mshallah nice selection
keep it up
Bohat shukriya show_sha.... aap ne poocha kahan se dhoond kar
laata hoon... tau bhaiya jawaab hai, DIL ki gehraaiyon se!!!
Toota mera khwaab, ghubaar-e-dil aansuon mein beh gaya
Woh rah-e-wafaa mein tanhaa chor gaaye aur dil dekhta reh gaya
[QUOTE]
*Originally posted by Aryaan: *
Thanx dosto :)
Dil ki jagah seeney mein mohabbat hai tumhaari
Ab meri harr ik saans amaanat hai tumhaari..
[/QUOTE]
Bhaut Khoob,
Moqaam-e- shauq tere qudsiyouN ke bas ki baat nahiN
yeh unhee ka kaam hai jin ke hauslay hai buland
Saqi
Thanx Saqi :)
Khuda hum ko tum se juda na kare
Dua yeh karo, khuda na kare
Hamein aisey dil ki zaroorat nahi
Tere waastey jo dua na kare
Nahi mera dilbar tau aisa nahi
Jo wadaa kare aur wafaa na kare
Yehi yaar sachey ki pehchaan hai
Sahey zakhm lekin gilah na kare
Yeh anjaan ek aisa insaan hai
Kabhi jo kisi ka bura na kare..
Doosron ke dard ka ehsaas hota hai kisey
Hans dia karte hain gul, shabnam ko rota dekh kar
Sab se chupaa kar dard jo woh muskuraa diya
uuski hansi ne tau aaj mujhe rulaa diya
Lehje se uth raha tha harr ik dard ka dhuan
Chehra bata raha tha keh kuch ganwa diya
Aawaaz mein thehrao tha aankhon mein nami thi
Aur keh raha tha ke main ne sab kuch bhulaa diya
Jaane kya ussko logon se thi shikaayatein
Tanhaaiyon ke des mein khud ko basaa diya
Khud bhi woh hum se bichar kar adhoora sa ho gaya
Mujh ko bhi itne logon mein tanha bana gaya...