aj phir ik bhuka soya tha
ik maan ne beta khoya tha
kahin bom dhamakay hain ja baja
kahin khamosh ansu,kahin ah-o-baka
hath main kashkol or sarapa-e-dad hun
KYA MAIN AZAAD HUN???
ye degrian tum jala do
harf-e-mumkin ko mita do
jahan itne gay jan se
wahan ik or b mila do
sitaron pe dale ga kon kamand
Iqbal ka shaheen tu ruposh-o-nazarband
aman ki fakhta tu urr gai
ab nehta syyaad hun
KYA MAIN AZAAD HUN???
bohat khoob nazm hai Shazia.. Allah hamaray mulk ki hifaazat karay..aik Dua hi hay jo kar saktay haiN ,Allah hamaray mulk ko achay hukmraan naseeb karay jo sab say pehlay apnay watan k liye sochnay waalay hoN..

thanx 4 apreciation n nice coments...g bilkul theek kaha pakeeza Allah hamare mulk ki hifazat kare baqi hukmiranon ka imandaar hona tu bohat mushkil hai.