Kunwan, Ra'hut aur Jogi

Re: Kunwan, Ra’hut aur Jogi

bhaiye, aap ek gaaoN waale se muKhaatib haiN! :stuck_out_tongue: maiN ne kuyeN se bahooot paanii bharaa hai…maTke kandhoN pe laad laad kar ghar laayaa kartaa thaa jab jab hamaaraa saqqa beemaar huaa kartaa thaa yaa baa’is-e-Kharaabii-mausam Ghair ai’laaniyah chhuTTii le liyaa kartaa thaa.

mere gaaoN kii sarHad ke andar jo baRaa saa baGheecha thaa uskii aabiyaarii raheT ke zarii’ye hii huaa kartii thii aur hamaare gaaoN se jogii ho kar zaroor guzarte the magar rukte nahiiN the kiuN k hamaaraa gaaoN 99.99% Muslim thaa! :slight_smile: