kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

dost kia khoob wafa'ooN ka sila daitey haiN
har naye more per hum ko mana laitey haiN
[/QUOTE]

Tujhsay milnay kee saza daiN gay teray shahar kay log
Yeh wafaaoN ka sila daiN gay teray shahar kay log

Kia KHabar thee teray milnay pay qayamat hogee
Mujhko deewana bana daiN gay teray shahar kay log

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

yehi wafa'aoN ka sila hey to koi baat nahi
ye dard tum ne dia hey to koi baat nahi
kis ko majal hai k koi kahey diwana mujhey
agar ye tum ne kaha hey to koi baat nahi

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

yehi wafa'aoN ka sila hey to koi baat nahi
ye dard tum ne dia hey to koi baat nahi
kis ko majal hai k koi kahey diwana mujhey
agar ye tum ne kaha hey to koi baat nahi
[/QUOTE]

Hamko unsay wafa kee hai ummeed
Jo naheeN jaantay wafa kia hai
Jaan tum par nisar kerta hooN
maiN naheeN janata dua kya hai

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Hamko unsay wafa kee hai ummeed
Jo naheeN jaantay wafa kia hai
Jaan tum par nisar kerta hooN
maiN naheeN janata dua kya hai

[/QUOTE]

ilzaam wo phir muj ko be daita hia kis leay
w khud wafa ki rasam milta k chala gaya

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

ilzaam wo phir muj ko be daita hia kis leay
w khud wafa ki rasam milta k chala gaya
[/QUOTE]

Jin dostoN say ham ko tawaqqa wafa kee thee
Woh dost dil say naqsh-e-wafa tak miTa gaye

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Jin dostoN say ham ko tawaqqa wafa kee thee
Woh dost dil say naqsh-e-wafa tak miTa gaye

[/QUOTE]

tum takaluf ko be ikhlaas samjatey ho faraz
dost hota nahi har haath milanay wala

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

tum takaluf ko be ikhlaas samjatey ho faraz
dost hota nahi har haath milanay wala
[/QUOTE]

DushmanoN say pashemaaN honaa paRa
DostoN ka Khuloos aazamanay kay baad

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

DushmanoN say pashemaaN honaa paRa
DostoN ka Khuloos aazamanay kay baad

[/QUOTE]

dosti ka be hai moasam se ta'aluq kitna !
hawa badalti hai tu log badal jatey haiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

dosti ka be hai moasam se ta'aluq kitna !
hawa badalti hai tu log badal jatey haiN
[/QUOTE]

Hum haiN mushtaaq aur woh bezaar
Ya Ilaahi! yeh maajraa kia hai?

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Hum haiN mushtaaq aur woh bezaar
Ya Ilaahi! yeh maajraa kia hai?

[/QUOTE]

kher aisay tu na kahiey k hum bezaar..:( itni dairi baad reply tu ap ne kia

hum shooq-e-intzaar maiN kuch gun they is tarha
choonkaY jabhi k raat ne cheri sehaR ki baat

Jee acha aap kehti tu maanay letay, waisay yaad hai parson kay baad say nazar hee nahee aaen :teary1:
(Yaad hai na ;))

Unhay bhee shauq tha naye chehroN kay deedar ka
Rasta badal kay chalnay ka hamaiN bhee shauq tha :slight_smile:

hmmm sher ka hair phaiR

gulshaN parast hooN mujhay gul he nahi aziz
kantooN se be nibha keay ja raha hooN maiN

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
hmmm sher ka hair phaiR

gulshaN parast hooN mujhay gul he nahi aziz
kantooN se be nibha keay ja raha hooN maiN
[/QUOTE]

TaarooN kee baharoaN maiN bhi Qamar, tum afsurda rehtay ho!
PhooloN ko tu dekho KaanToN maiN hans hans key guzara kertay haiN

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

TaarooN kee baharoaN maiN bhi Qamar, tum afsurda rehtay ho!
PhooloN ko tu dekho KaanToN maiN hans hans key guzara kertay haiN

[/QUOTE]

phoolooN k sath is leay kanteY lagay haiN dost
phooloN pe hath sooch k dala karey koi

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

phoolooN k sath is leay kanteY lagay haiN dost
phooloN pe hath sooch k dala karey koi
[/QUOTE]

Ab is pay pachhtana kaisay yeh hay baat naseebon kee
Mairay hissay maiN kaaNtay aaye tairee janib phool gaye

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Ab is pay pachhtana kaisay yeh hay baat naseebon kee
Mairay hissay maiN kaaNtay aaye tairee janib phool gaye

[/QUOTE]

phool he hath lagan haath maiN kanteY na chubhiaN
ap be aa'tey haiN kia khoob tamana lay kar

jee hum kuch kah saktay hain

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
jee hum kuch kah saktay hain
[/QUOTE]

keon nahi dil se ap log tu khud he nahi atey ap ko karna chaiey an sher ka jawab sher main...ab jo be karta hum us ka jawab day jatey u better start now..:)

Dastoor husna waloon ka kitna ajeeb hai
Bhajay thay phool aya hain pathar jawab main...

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

phool he hath lagan haath maiN kanteY na chubhiaN
ap be aa'tey haiN kia khoob tamana lay kar
[/QUOTE]

Meray lahu ka rang hai hur nok-e-Khaar par
Sehra maiN hur taraf hai meri justaju kay phool