kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

hahaha, jeee check karnay main thordi der zaroor hui thi , but temp normal hi mila, BUT THANX FOR UR CONCERN :nahnah:

ye ap ka concern ap ki zuban main rahta hia kia :rolleyes:

PS: ur welcome

Jeee jaisa aap samjhain ,
but agar aap yeh sab mujh sai lardaii karnay kai liye PARR tol rahi hain to , MAIN KOYAL SAI NAHI LARDA KARTA,
aur agar yeh DOSTI ki Naveed hai to ,
lets BE FRIENDS :halo: :wave:

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


hum ko un se hai wafa ki umeed
jo nahi jantey wafa kia hai
[/QUOTE]

Mujahay wafa kee umeed hai magar har ak say nahi
Koyee mailay magar us yar e bewafa ke taraha

Mujahay raah main par kisi bad naseeb ka khat mila
Jo khoon say tha lekha howa kaheen ansoon say mita howa

*Mere tabeeb huey mujh sai is qadar mayoos
Dua to kartay hain laikin Dawa nahi kartay
mujh sai kehtay hain Mehfil main jal kar parwanay
Jo ishq kartay hain nasir jiyaa nahi kartay *

[QUOTE]
Originally posted by arfin99: *
**Mere tabeeb huey mujh sai is qadar mayoos
Dua to kartay hain laikin Dawa nahi kartay
mujh sai kehtay hain Mehfil main jal kar parwanay
Jo ishq kartay hain nasir jiyaa nahi kartay *

[/QUOTE]


Woh pursish-e-Gham ko aaye haiN kuch keh na sakooN chup rah na sakooN
Khamosh rahooN tu mushkil hai kah dooN to shikaayat hoti hai

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Woh pursish-e-Gham ko aaye haiN kuch keh na sakooN chup rah na sakooN
Khamosh rahooN tu mushkil hai kah dooN to shikaayat hoti hai
[/QUOTE]

Dekhi jo meri nabz to ik lamha soch kar
Kaaghaz liya aur Ishq ka beemar likh dia
Qurban kyuon na jaon main aisay tabeeb par
Nushkhay main jisnay Sharbat-e-deedar likh dia

Dil main na hoo jurat tu mohabat nahi miltee
Kharaat main itni bari doulat nahi miltee

Tu khuda hai na mera Ishq farishton Jaisa
Dono insan hen to kyon itne hijabon men milen

Hum say tu ak dil behi aabad nahi hoo pata
Loog sahra ko behi gulzar bana datay hain

Sab kai bas main nahi registan ko gulistan karna
hum yehi soch kar apna gulistan mita detay hain

Apnay he hathoon say lagee apnay gulshan koo aag
Taray hathoon say gar hoota tu bohat takleef hooti

by Dilsay

Ishq honay kai baad jana kai hamara dilbar kaun tha
Qatal honay kai baad jana kai hamara Qaatil kaun tha

jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii

tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii

ab to bas jaan hii dene kii hai baarii ai "Noor"
mai.n kahaa.N tak karuu.N saabit ke vafaa hai mujh me.n

[QUOTE]
*Originally posted by arfin99: *
Ishq honay kai baad jana kai hamara dilbar kaun tha
Qatal honay kai baad jana kai hamara Qaatil kaun tha
[/QUOTE]

ishq he tanha keoN lut-ta saif basat-e-ulfat per
kabi kabi tu ishq be jeetay husan be haray kabi kabi

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
ab to bas jaan hii dene kii hai baarii ai "Noor"
mai.n kahaa.N tak karuu.N saabit ke vafaa hai mujh me.n
[/QUOTE]

umer guzri hia jhulastey huwey sehara maiN
kia karain gain teri dewar ka saaya lay kar

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii
[/QUOTE]

tu be shaa'ed payar maiN barbad hai meri tarha
dard maiN doobi huwee jo yuuN teri awaaz hai