Thanks.. Maheen2002, WiseGuy & pagaldeewani… ![]()
Re: ~* Hum Bahut Roye Woh Jab Yaad Aya *~
good KN :k: thanx for sharing ![]()
Re: Re: ~* Hum Bahut Roye Woh Jab Yaad Aya *~
Thanks… ![]()
Beth kar saaya-e-gul mein "Naasir"
Hum bahut roye woh jab yaad aya
Wah, Wah.
[QUOTE]
*Originally posted by ehsan: *
Beth kar saaya-e-gul mein "Naasir"
Hum bahut roye woh jab yaad aya
Wah, Wah.
[/QUOTE]
Shukriya :)
Wow :k:
Is this the same ghazal sung by Noor Jehan ??
Wah!
[QUOTE]
*Originally posted by Philanthrope: *
Wah!
[/QUOTE]
its for you
Har ek Muskurahut Muskan naheen hotee
Nafrat Ho Ya Mohhabat Asaan Nheen Hotee
Ansoo Khushe Kay hoon Ya ghum Kay Hotay Hain Ek Jaisay
In Ansowo Ki Bhee Koi Pehchan nahen hotee
Pakka Paindoo Phraam Manchester Ju Kay
Us kay naam..jis say main nay poocha..ja rahi ho..sar-e-rah milo gee tuo peechan lo gee..us nay kaha salaam zaroor karon gee..aur youn five years beet gay… Na tuo hay na teray milnay kee aarzoo hay..
Kahan ho tum chalay aao, mohabbat ka taqaza hai
Ghum-e-dunya say ghabra kur tumhein di nay pukara hai
Tumhari be-rukhi aik din hamari jaan le lay gi
Qasm tum ko, zara sochu dastoor-e-wafa kia hai
Na janay kis liye dunya ki nazrein hut gayeen hum say
Tumhein dekha tumhein chaha qasoor iss kay siwa kia hai
With Love ![]()
Pakka Paindoo Pharaam Manchester Ju kay
Oooo Gaya:dhimpak:
![]()
Ik Masssom Khawahish
Na shikaayatein, na gilaa karey
Koi aisa shakhs hua karey
Jo merey liye hee saja karey
Mujh hee sey Baatein kiya karey
Kabhi royey jaaey woh bepanaah
Kabhi be-tahaasha udaas ho
Kabhi chupkey chupkey dabey qadam
Merey peechay Aa kar, hansa karey
Meri qurbatein, meri chaahatein
Koi yaad kare qadam qadam
Mein taveel safar mein hoon agar
Meri waapsi ki Dua karey
(Dr. Adnan Nadeem Iqbal Dani)
Urf Pakka Painddo Pharaam manchester Ju Kay
.............ACHA LAGA
Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga
sab se chhup kar woh kissi ka dekhna acha laga
Surmai Aankhon ke neechey phool se khilney lagey
kehtey kehtey kuch kissi ka sochna acha laga
baat tou kuch bhi nahin thi laiken "uss" ka aik dum
haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga
Chaa'ey mein cheeni milaana uss ghari bhaaya buhut
zair - e lab woh muskuraata "shukria" acha laga
Dil mein kitney aehed baandhey thay bhulaaney ke ussey
woh mila tou sab iraadey torna acha laga
Uss udoo - e - jaan ko amjad bura kaisey kahoon
jab bhi Aaya saamney woh be-wafa acha laga
(Dr Amjad Islaam Amjad)
From The Desk of Dr. Adnan Nadeem Iqbal Dani
Urf Pakka Paindoo Pharaam Manchester Ju kay
Ghum hai ya khushi hai toou
Meri Zindagi hai.... toou
Aafaton ke Dour mein
Chayn ki ghari hai..... toou
Meri raat ka Charaagh
Meri neend bhi hai ....toou
Mein khizaan ki shaam hoon
Rut bahaar ki hai...toou
Doston ke durmiyaan
Wajah-e-Dosti hai ....toou
Meri saari Umer mein
Aik hi Kumi hai....toou
Mein tu woh nahin raha
Haan !!! Magar wohi hai ...toou
Nasir iss Diyaar mein
Kitna Ajnabi hai....toou
(Nasir Kazmi)
From the Desk of Dr. Adnan Nadeem Iqbal Dani)
Uf Pakka Paindoo Phraam manchester Jukay
Thanks ![]()
Yes, it’s the same… Great isn’t it? ![]()
Thanks for liking SuraJ & Philanthrope ![]()
And also thanks to Ajnabi4ever for sharing these wonderful poems… All are nice in their own way ![]()